LYRIC

They say Father’s Day is celebrated to recognize not just ‘Fathers’ but also ‘Father Figures’ who make uncountable contributions to our lives. Celebrating it one day in a year might not be enough to make it for those compromises made or the affection showered on us over the years but the music just adds it to the moment! Last on the list perfectly portrays the countless emotions and million thoughts that go unexpressed by our dear ‘Abbu Jaan’.

Mere sapne apne samajhkar,
poora unko karte ho..
Unn sapno ki keemat kya
kya sehke ada karte ho..
Papa khud sab sehte ho,
humse nahin kuch kehte ho..

Do kapde kum paas tumhare,
tumko yeh nahin parwah hai..
Bachhon ko kuch kami rahe
na, iss baat ka jhagda hai..
Apne liye bazaar ho jaate,
mere liye le aate ho..
Papa khud sab sehte ho,
humse nahin kuch kehte ho..

Dukh ho chahe sukh ho tumhari
aankhein namm nahin hoti hain..
Dil se nikalti mere liye
duaaein kum nahin hoti hain..
Gusse mein kabhi baat karoon
toh, mann hi mann seh jaate ho..
Papa khud sab sehte ho,
humse nahin kuch kehte ho..

Hai maloom ke meri khatir,
tum jaan bhi de sakte ho..
Ek insaan nahin, saare jahaan
se mere liye ladd sakte ho..
Meri taraf ek aanch bhi aaye
to khud aage aa jaate ho..
Papa khud sab sehte ho,
humse nahin kuch kehte ho..


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO