LYRIC

Yeh Aaina Lyrics from the movie, Kabir Singh. This song is sung by Shreya Ghoshal. Music composition by Mithoon with lyrics inscribed by Irshad Kamil. The soundtrack album is released under T-Series label.

Ye aaina hai ya tu hai,
Jo roz mujhko sawaare,
Itna lage sochne kyun,
Main aaj kal tere baare..

Tu jheel khamoshiyon ki,
Lafzon ki main to lahar hoon,
Ehsaas ki tu hai duniya,
Chhota sa main ek sehar hoon…

Ye aaina hai ya tu hai,
Jo roz mujhko sawaare…

Khud se hai agar tu bekhabar..bekhabar,
Rakh loon main tera khyal kya,
Chupke chupke tu nazar mein utar,
Sapno mein loon main sambhal kya,
Sapno mein loon main sambhal kya..

Main daudd ke pass aaun,
Tu neend mein jo pukaare,
Main rait hoon,
Tu hai dariya,
Baithi hoon tere kinaare..

Ye aaina hai ya tu hai,
Jo roz mujhko sawaare…

Tanha hai agar tera safar..humsafar,
Tanhai ka main jawab hoon,
Hooga mera bhi asar tu agar,
Padh le main teri kitaab hoon
Padh le main teri kitaab hoon…

Sheene pe mujhko saja ke,
Jo raat saari guzaare,
To main sabere se keh doon,
Mere sehar tu na aa ree..

Ye aaina hai ya tu hai,
Jo roz mujhko sawaare…


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO