LYRIC

Tere Pyar Ki Tamanna Lyrics from the movie, Tawaif. This song is sung by Mahendra Kapoor. Music composition by Ravi with lyrics inscribed by Hasan Kamaal. The soundtrack album is released under Shemaroo Filmi Gaane label.

tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye
badi tej aandhiya hai ye chiraag bujh na jaye

hai ajib dasta kuch ye hamari dasta bhi
hai ajib dasta kuch ye hamari dasta bhi
kabhi tum samaj na paye, kabhi hum suna na paye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye
badi tej aandhiya hai ye chiraag bujh na jaye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye

na faja hai apne bas me na najar me hai kinara

kahi mere dil ki kashti, na bhanwar me dub jaye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye
badi tej aandhiya hai ye chiraag bujh na jaye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye

koyi hal tu hi bata de mere dil ki kashmakash ka

tujhe bhulana bhi chaha teri yaad bhi sataye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye
badi tej aandhiya hai ye chiraag bujh na jaye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye
tere pyaar ki tamanna game jindagi ke saye

Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO