LYRIC

The song Taaron Ki Chhaon Mein, Sapnon Ke Gaon Mein is from the movie Samaj Ko Badal Dalo. It is sung by Mohammed Rafi, & Lata Mangeshkar and composed by Ravi. The lyrics are written by Sahir Ludhianvi. Ultra released the soundtrack album for the movie.

Taaron ke chhaon mein
Sapno ke gaon mein
Pariyo ke sang tumhe jana hai
Taaron ke chhaon mein
Sapno ke gaon mein
Pariyo ke sang tumhe jana hai
Sojao chain se is kali rain se
Aage ji des hai suhana hai
Taaron ke chhaon mein
Sapno ke gaon mein
Pariyo ke sang tumhe jana hai

Gagan tale pawan chale thandi suhani
Dhimi dhimi laye me kahe man ki kahani
Aayi rey aayi rey aayi
Hindol le ke nindiya ki rani
So jao, so jao, so jao, so jao
Taaron ke chhaon mein
Sapno ke gaon mein
Pariyo ke sang tumhe jana hai

Bhave teri pita jaisi
Maa jaisi aankhiya
Gajab kare jiya hare dhunde kankiya
Aayi rey aayi rey
Aayi hai tumhe lene phulo ki sakhiya
So jao, so jao, so jao, so jao
Taaron ke chhaon mein
Sapno ke gaon mein
Pariyo ke sang tumhe jana hai

Khili rahe saji rahe yun hi ye kyari
Hasi khushi jiyo sabhi maa tum pe wari
Khili rahe saji rahe yun hi ye kyari
Hasi khushi jiyo sabhi maa tum pe wari
Aayi rey, aayi rey
Aayi rey chanda ke rath ki sawari
So jao, so jao, so jao, so jao.


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO