LYRIC

The song Pitaah is from the movie Pitaah. It is sung by Udit Narayan and composed by Anand Raj Anand. The lyrics are written by Praveen Bhardwaj. Universal released the soundtrack album for the movie.

ik rab ambar pe hota hai, ik rab dharti pe hota hai

ambar tak pahuncha kaun
ambar tak pahuncha kaun hamko nahi pata
dharti pe jo rab hota hai vo hai pita, vo hai pita
vo hai pita, vo hai pita

phul sa jiska man hota hai aur sina faulaad ka

apna dukh to vo na jaane jaane har duhkh aulaad ka
gam sahe vo rahkar maun
gam sahe vo rahkar maun hamko nahi pata
dharti pe jo rab hota hai vo hai pita, vo hai pita
vo hai pita, vo hai pita

sabse pehla dharam hai jiska apna ghar sansaar

sabse pehla karam hai jiska apno ka uddhaar
uske bina ham kaun
uske bina ham kaun hamko nahi pata
dharti pe jo rab hota hai vo hai pita, vo hai pita
vo hai pita, vo hai pita

jine ka paigam diya hai pita ne hamko naam diya hai

hamse khata huyi to bhi apne sar pe ilzaam liya hai
unse bada hai kaun
unse bada hai kaun hamko nahi pata
dharti pe jo rab hota hai vo hai pita, vo hai pita
vo hai pita, vo hai pita
ik rab ambar pe hota hai, ik rab dharti pe hota hai
ambar tak pahuncha kaun
ambar tak pahuncha kaun hamko nahi pata
dharti pe jo rab hota hai vo hai pita, vo hai pita
vo hai pita, vo hai pita

Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO