LYRIC

The song O Mata Ke Ladle Soja is from the movie Benaam Badsha. It is sung by S. P. Balasubrahmanyam, & Kavita Krishnamurthy and composed by Laxmikant–Pyarelal. The lyrics are written by Anand Bakshi. Shemaroo Filmi Gaane Saregama released the soundtrack album for the movie.

Aa rira ru, aa rira ru,
Oo mata ke ladle soja tu
Aa rira ru, aa rira ru,
Oo mata ke ladle soja tu

Mata koan pita koan, mata koan pita koan
Tujhe kya pata, dekha nahi
Suna nahi, naam kisi ka
Mata koan pita koan, tujhe kya pata,
Dekha nahi suna nahi, naam kisi ka
Jhule me jhulaya nahi kisi ne mujhe
Sine se lagaya nahi kisi ne mujhe
Mata koan pita koan, tujhe kya pata,
Dekha nahi suna nahi, naam kisi ka
Mata koan pita koan,
Aa rira ru, aa rira ru,
Oo mata ke ladle soja tu
Aa rira ru, aa rira ru,
Oo mata ke ladle soja tu

Ma ka dudh mila nahi pine ke liye
Ma ka dudh mila nahi pine ke liye
Maine apni aansu piye
Jine ke liye, jine ke liye
Jane kab aaya gaya bachpan mera
Bhukha pyasa nanga khali jiwan mera
Mata koan pita koan, mata koan pita koan
Tujhe kya pata, dekha nahi suna nahi,
Naam kisi ka

Jivan mein ki hai maine kai choriya
Jivan mein ki hai maine kai choriya

Par mai chura na saka
Ma ki loriya, ma ki loriya
Jua khela, daru piya sab kuch kiya
Phir bhi ye gam bhula na saka.
Mata koan pita koan, mata koan pita koan
Tujhe kya pata, dekha nahi suna nahi,
Naam kisi ka

Kachare ke dhabe mein giraya gaya tha
Kachare ke dhabe mein giraya gaya tha
Mai kachare ke dhabe se
Uthaya gaya tha, uthaya gaya tha
Mere man mein pyar nahi kahar hai bhara
Mere tan mein khun nahi jahar ahi bhara
Mata koan pita koan, tujhe kya pata,
Dekha nahi suna nahi, naam kisi ka
Jhule mein jhulaya nahi kisi ne mujhe
Sine se lagaya nahi kisi ne mujhe
Mata koan pita koan, mata koan pita koan
Mata koan pita koan, mata koan pita koan.


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO