LYRIC

Mantoiyat Lyrics from the movie, Manto. This song is sung by Raftaar & Nawazuddin Siddiqui. Music composition by Sneha Khanwalkar, Raftaar & Zakir Hussain with lyrics inscribed by  Dibakar Banerjee, Simaab Akbarabadi, Meeraji, Faiz Ahmed Faiz, Raftaar & Saadat Hasan Manto. The soundtrack album is released under Zee Music Company label.

Raftaarrr…

(Manto)
Sawaal yeh hai ki
Jo cheez jaisi hai
Usey waise hi pesh kyu na kiya jaaye
Main toh bus aapni kahaaniyon ko
Ek aaina samjata hoon
Jisme samaaj apne aapko dekh sake..

(Raftaar)
Aaina na dekhna chahe samaaj mera
Puche mera kal na dekhte yeh aaj mera
Khodate kharodate yeh meri galatiyan
Main bhi chal diya
Meri soch pe hai raj mera
Kaan band, aankhe band, inke muh pe taale
Inpe zor na ki satya pe prakash daale
Bole sach jo uske chehre pe tezaab daale
Ghoome phir khule mein
Aur jale jo woh nakaab daale
Off off off hai, dimag sabka off hai
Zamaana kya kahega
Iska hi toh sabko khauff hai
Daabke jeete hai
Daabane ke yeh aadhi hai
SE☓ nishedh hai toh itni kyu abaadi hai
Log yeh hai aatma se khokhle
Khud kare toh thik baaki.. galat
Dogale!

Gaali de doon Hindi mein toh
Bole aisa kyun kiya
F**k kyun hai cool
Jaane galat kyu hai ch***ya

(Manto)
Kya iss tarah ke alfaz
Humein sadako pe sunayi nahi padte
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Manto ek insaan hai..
Mujh par ilzaam hai..
Mujh par ilzaam hai..
Mujh par ilzaam hai..
Manto ek insaan hai

(Raftaar)
Jaat mein yeh baatate hai
Baat ke yeh kaatate hai
Katne waale khat pe hai
Inki mauj raat mein hai
Laal batti wali gaddi
Glass inke hath mein hai
Rajneeti mein hai chor
Police inke sath mein

Meri baate tumhko sach nahi lagti
Sacchi baate tumko yara pach nahi sakti
Mujhse na-samajh hain dugne meri age ke
Ek pair kabr me ye bhookhe hain dahej ke
Betiyon ko maarte
Betiyan naa paalte
Betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte
Ladkiyan patake unko bandi bolte hai
Aur jo raazi na ho unko saale r**di bolte hain
Baap roz maa pe thos hath jo uthayega
Bezuban bolne se pehle seekh jaayega
Mard tab banega jab tu auratein dabaayega
Soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega

(Manto)
Main us society ki choli kya utaarunga
Jo pehle se hi nangi hai
Usey kapde pehnana mera kaam nahi hai
Main kaali takhti par
Safed chalk istamaal karta hoon
Taaki kaali takti aur numaya ho jaaye
Manto ek insaan hai

(Raftaar)
Maine ghanto padha hai tumko Manto
Tumhare jaisa banu kare mera maan toh
Inn bando ko sach nahi dikhta
Sattar saal azaadi ke
Sach aaj bhi nahi bikta

(Manto)
Agar aap meri kahaaniyon ko
Bardasht nahi kar sakte
Toh iska matlab yeh hai
Ki ye zamaana hi naqabil-e-bardasht hai


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO