LYRIC

The song Khamakha is from the movie Kaun Pravin Tambe?. It is sung by Vivek Hariharan, & Anurag Saikia and composed by Anurag Saikia. The lyrics are written by Shakeel Azmi.

Band hai, jitne, darwaze, kholega tu
Odhke, ik din, khamoshi, bolega tu
Choo lega tu aasman ko, rehna re zid pe ada
Khamakha khamakha gham na kar khamakha
Khud ko yun nam na kar khamakha
Abra chhat jayega, tu jo dat jayega
Hausale kam na kar khamakha

Bojh ye, jitna lagta hai, utna nahin
Koi bhi masla, hal na ho, aisa nahin
Niklega tu mushkilon se, tutega ye dayra
Khamakha khamakha gham na kar khamakha
Khud ko yun nam na kar khamakha
Abra chhat jayega, tu jo dat jayega
Hausale kam na kar khamakha

Waqt bhi, tujhse haarega, tu jeetega, bola to tha
Doob ke tu yun ubhrega, had se gujrega, tha ye pata
Pohochenga tu manzilon pe, kehta tha ye rasta
Khamakha khamakha gham na kar khamakha
Khud ko yun nam na kar khamakha
Abra chhat jayega, tu jo dat jayega
Hausale kam na kar khamakha


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO