LYRIC

Jayegi Jayegi Jayegi Kahan Lyrics from the movie, Aurat Teri Yehi Kahani. This song is sung by Mohammed Aziz. Music composition by Anand-Milind with lyrics inscribed by Rajinder Krishan. The soundtrack album is released under Ultra Bollywood label.

jayegi jayegi jayegi kahan
kya ye jami kya ye aasma ho
dushman hain tere dono jahan
dushman hain tere dono jahan
jayegi jayegi jayegi kahan
kya ye jami kya ye aasma ho
dushman hain tere dono jahan
dushman hain tere dono jahan

tu wo patang hain kismat ne jisko
aandhi me uda ke chhod diya
tu wo patang hain kismat ne jisko
aandhi me uda ke chhod diya
jalim hawa ne jaise bhi chaha
jaha bhi chaha rukh mod diya
kabhi it dole kabhi ut dole
jane na jana hain kahan ho
dushman hain tere dono jahan
dushman hain tere dono jahan

tu us naiya pe baithi hui hain
jiska na koi khaiwan haar hain
tu us naiya pe baithi hui hain
jiska na koi khaiwan haar hain
na tere bas me leharo se ladna
na tere paas patwar hain
panchhi ke pankh kaate
kaha saiyaad ne ja ab jana hain jaha
o dushman hain tere dono jahan
dushman hain tere dono jahan
jayegi jayegi jayegi kahan
kya ye jami kya ye aasma ho
dushman hain tere dono jahan
dushman hain tere dono jahan


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO