LYRIC

The song Jab Koi Khwab Chamakta Hai is from the movie Ahista Ahista. It is sung by Asha Bhosle and composed by Mohammed Zahur Khayyam. The lyrics are written by Nida Fazli. Universal released the soundtrack album for the movie.

jab koi khwab chamakta hai hakikat ban ke
jab koi khwab chamakta hai hakikat ban ke
koi kismat se chala aata hai kismat ban ke
jab koi khwab chamakta hai hakikat ban ke

jab kisi maang me sindur bhara jata hai
jab kisi maang me sindur bhara jata hai
aasma apni bulandi se utar aata hai
ek ho jate hai do naam mohabbat ban ke
ek ho jate hai do naam mohabbat ban ke
koi kismat se chala aata hai kismat banke
jab koi khwab chamakta hai hakikat ban ke

aaj ki raat hai gunghat me lajjanewali
aaj ki raat hai gunghat me lajjanewali
chudiyowali tamannaye jagane wali
ye hasi raat mili hai tujhe chahat ban ke
ye hasi raat mili hai tujhe chahat ban ke
koi kismat se chala aata hai kismat banke
jab koi khwab chamakta hai hakikat ban ke


Added by

admin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO