LYRIC

Jaanam Lyrics from the movie, Kudiyon Ka Hai Zamana. This song is sung by Udit Narayan, & Sadhna Sargam. Music composition by Iqbal Darbar & Yasin Darbar with lyrics inscribed by Sahil Sultanpuri, A. M. Turaz & Shailendra . The soundtrack album is released under Eros Now label.

kahta ye mera dil, mujhse kabhi kabhi
dhadkan se teri sada, aaye dabi dabi
mere karib hai tu, ye jaanta hu main
sadiyo se jana, tujhko pahchanta hu main
tu jami, tu aasma
tu hi to hai mera jahan
mujhme hai tu, tujhme hu main
bas tu hi tu hai meri zindagi
jaanam meri jaanam
jaanam meri jaanam
kahta ye mera dil, mujhse kabhi kabhi
dhadkan se teri sada, aaye dabi dabi

aane do, pass mujhe aane do
dil me utar jane do
chaht me chahato ki ab sabhi
had se gujar jane do
jane kaisi mujhko bhi
dhun ye lagi lagi
rahti hu main raato ko
aksar jagi jagi
subah se sham tak main, karti hu intzar
bechain mere dil ko aata nahi karar
main kya karu, mujhko bata
pane sukun jaau kahan
tujhe chahti hu raat din
kyu badhti jaye meri bekhudi
jaanam mere jaanam
jaanam mere jaanam
kahta ye mera dil, mujhse kabhi kabhi
dhadkan se teri sada, aaye dabi dabi

chalne do, aaj mujhe chalne do
raaho me apni zara
rahne do, aaj mujhe rahne bhi do
baaho me apni sada
kahta ye mera dil, mujhse kabhi kabhi
dhadkan se teri sada, aaye dabi dabi
ha subah se sham tak main, karti hu intzar
bechain mere dil ko aata nahi karar
tu jami, tu aasma
tu hi to hai mera jahan
mujhme hai tu, tujhme hu main
bas tu hi tu hai meri zindagi
jaanam mere jaanam
jaanam mere jaanam


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO