LYRIC

The song Hum To Hai Deewane is from the movie Khel Muqaddar Ka. It is sung by Mahendra Kapoor, & Suresh Wadkar and composed by Sardul Kwatra. The lyrics are written by Munsif. H.M.V. released the soundtrack album for the movie.

meri jaa hat ke, o chalan bachke
ham to hain deewane, koi jaane ya na jaane
oye ham to hain deewane, koi jaane ya na jaane
duniya ki baato se kya hain vaasta
ham to na chhodenge apna rasta
are ham to na chhodenge apna rasta
mera jaa hat ke, o chalana bachke ha

chhod laala hera feri, aur ye kaale dhandhe
chhod laala hera feri, aur ye kaale dhandhe
muh me raam aur chhuri bagal me
kaise hain ye bande
are muh me raam aur chhuri bagal me
kaise hain ye bande
ha muh ke mithe, dil ke kaale
ha muh ke mithe, dil ke kaale
are chhup chhup ke ye peete hain pyale
inako maula aap sambhalo
ha kar do inko police hawale
inke jhuthe dhandhe se kya wasta
ham to na chhodenge apna rasta
are ham to na chhodenge apna rasta
mera jaa hat ke, chalana bachke ha

dudh me paani tel me paani, gehu me pathar dale
dudh me paani tel me paani, gehu me pathar dale
nakli maal bajaar me beche
asali maal chhupa le
are nakli maal bajaar me beche
asali maal chhupa le
ho laala nakli maal bhi nakli
ho ha laala nakli maal bhi nakli
haldi nakli daal bhi nakli
chaal bhi nakli, baal bhi nakli
sher bhi nakli khal bhi nakli
in sab nakli chhizo se kya vasta
ham to na chhodenge apna rasta
are ham to na chhodenge apna rasta
mera jaa hat ke, chalana bachke ha

ham to hain deewane, koi jaane ya na jaane
oye ham to hain deewane, koi jaane ya na jaane
duniya ke baato se kya hain vaasta
ham to na chhodenge apna rasta
are ham to na chhodenge apna rasta


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO