LYRIC

Geet Mein Dhalte Lafzon Mein Lyrics from the movie, Udaan. This song is sung by Amit Trivedi, & Amitabh Bhattacharya. Music composition by Amit Trivedi with lyrics inscribed by Amitabh Bhattacharya. The soundtrack album is released under T-Series label.

Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya, kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke seharon mein
Dhoop chadhi dopeharo’n mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Kya baat hai.. jo baat hai.. taaza lagey
Zindagi ki nayi nayi fazaa lagey O..

Haan yeh umango se
Phoola hua seena hai (seena hai..)
Lamha yeh maanga nahi
Isey humne chheena hai (chheena hai..)
Yunhi jeena hai..

Dhool jami thi aankhon mein
Khwaab khile ab laakhon mein
Naya kuchh naya to zaroor hai
Dard ki baatein kal ki hain
Aaj mein khushiyaan chhalki hain
Naya kuchh naya to zaroor hai
Jebon mein hum raatein liye, ghooma kare
Fursat ke ye mauqe sabhi chooma kare.. O..

Haan yeh umango se
Phoola hua seena hai (seena hai..)
Lamha yeh maanga nahi
Isey humne chheena hai (chheena hai..)
Yunhi jeena hai..

Hatheli mein hai nayi garmiyan
Junoon sakht hai gayi narmiyan
Hai dilchasp yeh aag si (aag si..)
Mitenge nahi yaad se (yaad se..)

Geet mein dhalte lafzon mein
Taal pe chalti nabzon mein
Naya, kuchh naya to zaroor hai
Shaam se leke seharon mein
Dhoop chadhi dopeharo’n mein
Naya kuchh naya to zaroor hai

Kya baat hai.. jo baat hai.. taaza lagey
Zindagi ki.. nayi nayi.. fazaa lagey O..

Haan yeh umango se
Phoola hua seena hai (seena hai..)
Lamha yeh maanga nahi
Isey humne chheena hai (chheena hai..)
Yunhi jeena hai.


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO