LYRIC

Duwa Mein Lyrics from the movie, Direct Ishq. This song is sung by Swati Sharma. Music composition by Tanishk Bagchi, Vivek Kar, Raeth (Band) & Sabir Khan. with lyrics inscribed by A. M. Turaz. The soundtrack album is released under Zee Music Company label.

 

Judaa ho jao lekin
Kahin bhi jao lekin
Humein aabad rakhna

Kal rooth jao lekin
Hum toot jaayein lekin
Humein aabad rakhna

Duaaon mein
Tum yaad rakhna..
Tum yaad rakhna..
Kisi ke pehle..rakhna..
Kisi ke baad..rakhna..

Hum apne baad bhi
Rehna chahte hain
Maujoodgi teri
Sehna chahte hain

Hum tumse aaj kuch
Kehna chahte hain
Maujoodgi teri
Sehna chahte hain

Jo hamare siwaa
Kisi ka nahi
Us khayaal ke
Nason mein behna chahte hai

Aankhon mein apni bhar lo
Tum kaid humko kar lo
Khud ko aazad rakhna

Duaaon mein
Tum yaad rakhna..
Tum yaad rakhna..
Kisi ke pehle rakhna..
Kisi ke baad rakhna..

Ek dukh ki gaud mein
Laakhon hain raahtein
Bichaare ishq pe
Kitni hai aafatein

Dardon ki dhoop mein
Jhulsi hai chahtein
Bichaare ishq pe
Kitni hai aafatein

Khushi ke siwaa
Tume kuchh naa mile
Gham sehne ki
Hame to pad gayi hai aadatein

Kabhi tanhaiyon mein
Dil ki gehraiyon mein
Meri fariyaad rakhna
Duaon mein..


Added by

admin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO