LYRIC

The song Birhan ke Nain Jaley is from the movie Pyar Ki Dhun. It is sung by Shubha Mudgal and composed by Shantanu Moitra. The lyrics are written by Javed Akhtar. Saregama released the soundtrack album for the movie.

birhan ke nain jale
dukh bhara man tarse
bawari tadpe to magar
jaye kha ghar se
raato ki ghadiya hai
ke hai kaato bhari seje
raato ki ghadiya hai
ke hai kaato bhari seje
din ka ujala hai ke
ambar se agan barse
birhan ke nain jale
dukh bhara man tarse

jal raha hai tan, badan mai peeda ka laav
dard ki nadi mein, dubti hai man ki naav
aisi gat hai yeh dasha hai, is dukhi birhan ki
jaise koi noch ke par, chhod jaye panchi
sukhi nadi jaise ke mil paaye na sagar se
birhan ke nain jale, dukh bhara man tarse
raato ki ghadiya hai, ke hai kaato bhari seje
raato ki ghadiya hai, ke hai kaato bhari seje
din ka ujala hai ke, ambar se agan barse
birhan ke nain jale, dukh bhara mann tarse

sune sune din hai aur kaali kaali raina
dard ke paatal se aate hai jaise baina
man pe laga aise bhi hai ghav bhara kari
upper se chal rahi hai sanso ki yeh aari
chup hai bahar se birhan roti hai ander se
birhan ke nain jale, dukh bhara man tarse
raato ki ghadiya hai, ke hai kaato bhari seje
raato ki ghadiya hai, ke hai kaato bhari seje
din ka ujala hai ke, ambar se agan barse
birhan ke nain jale, dukh bhara mann tarse
man tarse, man tarse
man tarse, man tarse


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO