LYRIC

Aisa Kyu Hota Hai Lyrics from the movie, Ameer Aadmi Gharib Aadmi. This song is sung by Asha Bhosle. Music composition by R. D. Burman with lyrics inscribed by Nida Fazli. The soundtrack album is released under Bollywood Classics label.

aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai
koi hansta hai, koi rota hai
koi hansta hai, koi rota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai

duniyawalo ke hatho me har dil hum bikate hai
baste basti yahi sabki takdir likhate hai
meri teri mehnat ka yun
sauda kyo hota hai
koi hansta hai, koi rota hai
koi hansta hai, koi rota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai

mera tera khun pasina
sikko me dhalta hai
fir bhi apne ghar me chulha
kam kam hi jalta hai
meri teri jaan ka dushman paisa kyu hota hai
koi hansta hai, koi rota hai
koi hansta hai, koi rota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai

jaane kyu paida hote hai
jaane kyu marte hai
jaane kyu paida hote hai
jaane kyu marte hai
jab tak jeete hai jeene ka
karj adaa karte hai
bemaksad bekaar jeena marna kyo hota hai
koi hansta hai, koi rota hai
koi hansta hai, koi rota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai

kheto se jo fasal ugaaye
bhukhe kyo rahte hai
kapdo ke jo dher lagaye
nange kyo rahte hai
duniya ka kanun humesa andha kyu hota hai
koi hansta hai, koi rota hai
koi hansta hai, koi rota hai
aisa kyu hota hai, aisa kyu hota hai


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO