LYRIC
Tirkit taal se lo chali kahani
Panghat kaal se lo chali kahani
Ho.. sarpat daudti hai fakt jubaani
Chhut-put aashiqui mein dhali kahani
Angin saal se hai wohi purani
Tere mere ishq ki ye nayi kahani
Aati kahaan se hai ye jaati kahaan kya pata..
Wo.. aa…
Ye Chenab ka dariya hai
Ye ishq se bharya
Wo leharon pe balkhati
Mahiwal se milne jaati
Wo naam ki Sohni bhi thi
Mahiwal ki honi bhi thi
Lekin bhay kans ka tha usko (toh phir!)
Vasudeva ne Kanha ko (lekar!)
Jamuna se paar langaaya..
Dariya se toh Firon ki behna ne phir Moosa uthaya
{ sargam }
Chali kahani, chali kahani
Chali kahani, chali kahani
Chali kahani, chali kahani
Chali kahani.. (x2)
Tirkit taal se lo chali kahani
Panghat kaal se lo chali kahani
Sarpat daudti hai fakt jubaani
Chhut-put aashiqui mein dhali kahani
Angin saal se hai wohi purani
Tere mere ishq ki ye nayi kahani
Aati kahaan se hai ye jaati kahaan kya pata..
Birha ka dukh kaahe ho baanke
Dikhe mohe tu hi jiya mein jo jhaankiye
Pal pal ginti hoon aathon hi pahar
Kitne baras huey mohe haan kiye
Naina nihaaro more bhor se jhare
Preet mori piya baaton se na aankiye
Main hi mar jaaun ya mare dooriyan
Dooriyon ki chadaron pe yaadein taankiye
Wo utha virodhi parcham
Mughal-e-azam ko tha ye gham
Shehzada mohabbat karke
Izzat ka karega kachram bhasam
Troja ki thi Helen
Tha itni raksha mein Raavan
Antat bhishan yudhum krandan
Mera to Ranjhan Mahi Ranjhan Ranjhan!