LYRIC

Sare Jahan se Accha is an Urdu language patriotic song for children written by poet Muhammad Iqbal in the ghazal style of Urdu poetry.

Sare jahan se accha hindostan hamara
Hum bulbulain hai iss ki yeh gulsitan hamara
Sare jahan se accha

Ghurbat men hon agar ham rahta hai dil vatan men
Samjho vahin hamen bhi dil hain jahan hamara

Parbat voh sab se uncha hamsaya asman ka
Voh santari hamara voh pasban hamara

Godi men khelti hain is ki hazaron nadiya
Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janan hamara

Aye ab raud ganga voh din hen yad tujhko
Utara tere kinare jab karvan hamara

Mazhab nahin sikhata apas men bayr rakhna
Hindvi hai ham vatan hai hindostan hamara

Yunan o misr o roma sab mil gaye jahan se
Ab tak magar hai baqi nam o nishan hamara

Kuch bat hai keh hasti milati nahin hamari
Sadiyon raha hai dushman daur e zaman hamara

Iqbal koi meharam apna nahin jahan men
Malum kya kisi ko dard e nihan hamara

Sare jahan se accha hindostan hamara
Ham bulbulain hai is ki yeh gulsitan hamara


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO