LYRIC
The song Kis Liye Maine is from the movie The Train. It is sung by Lata Mangeshkar and composed by R. D. Burman. The lyrics are written by Anand Bakshi. Saregama released the soundtrack album for the movie.
Kis liye main ne pyaar kiyaa
Dil ko yuunhii beqaraar kiyaa
Shaam savere terii raah dekhii
Raat din intazaar kiyaa
Kis liye main ne pyaar kiyaa
Dil ko yuunhii beqaraar kiyaa
Shaam savere terii raah dekhii
Raat din intazaar kiyaa
Kis liye main ne pyaar kiyaa
Aankhon mein main ne kaajal daalaa
Maathe pe bindiyaa lagaai
Aise mein tuu aa jaae to
Kyaa ho, raam duhaai
Chhup ke munh mein armaanon ne
Lii kaisi angadai
Koii dekhe to kyaa samajhe
Ho jaae rusvaai
Main ne kyon singaar kiyaa
Dil ko yuun beqaraar kiyaa
Shaam savere teri raah dekhi
Raat din intazaar kiyaa, ho…
Kis liye main ne pyaar kiyaa
Aaj vo din hai, jisake liye main
Tadapi banake raadhaa
Aaj mere man ki bachaini
Bad gai aur zyaadaa
Pyaar mein dhokaa na khaa jaae
Ye man siidhaa-saadaa
Aisaa na ho jhuuthaa nikale
Aaj milan kaa vaadaa
Mai.n ne kyon aitabaar kiyaa
Dil ko yuunhi beqaraar kiyaa
Shaam savere terii raah dekhii
Raat din intazaar kiyaa, ho…
Kis liye main ne pyaar kiyaa
Dil ko yuunhi beqaraar kiyaa
Shaam savere terii raah dekhii
Raat din intazaar kiyaa, ho…
Kis liye main ne pyaar kiyaa.