LYRIC

The song Katilon Ke Kaatil Ki Dastaan Sunaani Hai is from the movie Katilon Ke Kaatil. It is sung by Mahendra Kapoor, & Aziz Nazan and composed by Kalyanji-Anandji. The lyrics are written by Rajendra Krishan. Polydor released the soundtrack album for the movie.

aa aa aa aa
katl karte huye katil ne, na socha hoga
usko bhi marne wala, koi paida hoga
katilo ke katil ki aaha
katilo ke katil ki aaha
katilo ke katil ki dasta sunaani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
ha katilo ke katil ki, dasta sunani hain

ek basti ka gharana tha
ha ek basti ka gharana tha
yani phulo me phulo me ha
yani phulo me aashiyana tha
nek bivi ki sath kya kahana
ho uski shauhar ki baat kya kehna
unke do bachche aankh ke tare
ha unke do bachche aankh ke tare
chand se suraj se ha
chand se badh ke the pyare
sona chandi tha kone kone me
fikr na jagne na sone me
aa ghar ek hisse me, anmol si ek murat thi
are shakal mse hiro ke, bhagvaan ki wo surat thi
ye kissa kuchh insaan ka
ye kissa kuchh insaan ka
aur kuchh hain bhagvaan ka
aur kuchh hain bhagvaan ka
ab aage hal sunayenge, is dharti ke shaitan ka
is dharti ke shaitaan ka
is dharti ke shaitaan ka
jaha kans hain vaha krishna hain
jaha kans hain vaha krishna hain
jaha hain ravan vaha raam han, baat ye jani mani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
ha katilo ke katil ki, dasta sunani hain

aa us hare bhare sansaar ko
us ke daro divaar ko, kuchh aisi najar lagi
kuchh aisi najar lagi
hire moti se jada huaa
bhagvaan hain rath par khada huaa
shaitaan ko khabar lagi, shaitaan ko khabar lagi
tha raat ka andhera, khamosh tha jamana
jaalim ne tir mara, yu baandh kar nishana
pal bhar me ek devi ka, aise suhag chhina
insaaniyat ke mathe par bas aa gaya pasina
masoom se do bachhe, jaalim ke dar se bhage
shaitaan pichhe pichhe, aur wo the aage aage
shaitaan pichhe pichhe, aur wo the aage aage
andher ho raha tha, dil maa ka ro raha tha
dil maa ka ro raha tha
dil maa ka ro raha tha
na ujde maang kisi ki
na ujde maang kisi ki, na ho mamta viraan
aurat ka sindur hain shauhar, vi ka hain santaan
kya dhoyega aise gam ko
kya dhoyega aise gam ko, jo aankho ka pani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
ha katilo ke katil ki, dasta sunani hain

aa kudrat ne unka sath diya
bachcho ke sar par haath dilya
bach nikle lekin huye juda
koi idhar gaya koi udhar gaya
koi idhar gaya koi udhar gaya
mahlo wale galiyo me pale, galiyo me pale
mahlo wale galiyo me pale, takdir pe kiska jor chale
takdir pe kiska jor chale, takdir pe kiska jor chale
takdir pe kiska jor chale

ab ek parda girta hain, aur ek parda uthata hain
ab ek parda girta hain, aur ek parda uthata hain
bebas ki kismat khulti hain, saiyaad ka ghar jalta hain
saiyaad ka ghar jalta hain
saiyaad ka ghar jalta hain
aa wo dono aakhir huye javaan, le aai unhe takdir waha
le aai unhe takdir waha
le aai unhe takdir waha
socho to kaha puchho to kaha
puchho to kaha socho to kaha
aji sukar mat hona hairaan
ham kah de ham kah de, are kah de
dono hain yaha dono hain yaha
dono hain yaha dono hain yaha
dono hain yaha dono hain yaha
the intjaar me is din ke, jab badle lenge gin gin ke
jab badle lenge gin gin ke
jab badle lenge gin gin ke
khun dil ke katil ka, pyaas bujhani hain
are maa ke dudh ki kimat aaj hi chukaani hain
katilo ke katil ki ha
katilo ke katil ki, dasta sunani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
apni hi kahani hain, apni hi jubani hain
ha katilo ke katil ki, dasta sunani hain


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO