LYRIC
The song Jaane Kya Dhundta Hai is from the movie Sur – The Melody of Life. It is sung by Lucky Ali and composed by M. M. Keeravani. The lyrics are written by Nida Fazli. Universal Music India released the soundtrack album for the movie.
jaane kya dhundta hai ye mera dil tujhko kya chaahiye zindagi

jaane kya dhundta hai yr mera dil tujhko kya chaahiye zindagi
raaste hi raaste hain kaisa hai yeh safar
dhundti hain jisko nazre jaane hai voh kidhar
jaane kya dhundta hai ye mera dil tujhko kya chaahiye zindagi
jaane kya dhundta hai ye mera dil tujhko kya chaahiye zindagi
bechehra sa koi sapna hai voh
kahi nahi hai phir bhi apna hai voh
aise mere andar shaamil hai voh
main hu behta dariya saahil hai voh
hai kaha voh, voh kidhar hai, raaste kuch to bata
kaun sa uska nagar hai, rehguzar kuch to bata
dhundti hain jisko nazre jaane hai voh kidhar
jaane kya dhundta hai ye mera dil tujhko kya chaahiye zindagi
jaane kya dhundta hai ye mera dil tujhko kya chaahiye zindagi
suna sa hai mandir murat nahi
khaali hai aaina surat nahi
jeene ka jeevan me kaaran to ho
maheke kaise kaliya gulshan to ho
shamma hai jo mujh me roshan voh viraasat kisko du
dur tak koi nahi hai apni chaahat kisko du