LYRIC

The song Ek Padosan Peechhe Pad Gayi Junglee Jiska Naam is from the movie Gopi. It is sung by Lata Mangeshkar, & Mahendra Kapoor and composed by Kalyanji-Anandji. The lyrics are written by Rajinder Krishan.

ek padosan piche pad gayi hoy
ek padosan piche pad gayi jungli jiska nam
ho jungli jiska nam pyar mohabbat kya samjhaye
isko ram aur shyam
ke teri meri nahin nibhni ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni

ja main na teri madhumati na dhanno mera nam
hoy dhanno ja main na teri madhumati
na dhanno mera nam dil bhi dena dard bhi lena
ye nahin mera kam
ke teri meri nahin nibhni ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni
hoy de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na
hoy de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na

main tha ik azad musafir gaya dekhne mela
hoy gaya dekhne mela gaya dekhne mela
hoy hoy lagi huyi thi us mele mein
ayi milan ki bela hoy ayi milan ki bela
hoy ayi milan ki bela jismein kam kare thi banno
yaron mano ya na mano aisi gori chitti chori
nazuk nazuk bans ki chori aisi gori chitti chori
chitti chori aisi gori gori gori chitti chori
kaise karoon main jora jori le gayi re dil mera
chori chori hoy hoy chori chori
o banno banno kahke yaro hoy banno banno kahke yaro
phiroon main subaho sham ke teri meri
ke teri meri ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni

ja main na teri madhumati na dhanno mera nam
dil bhi dena dard bhi lena ye nahin mera kam
ke teri meri nahin nibhni ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni

haridwar mein ganga dekhi aur dilli mein jamuna
dilli mein jamuna dilli mein jamuna
lekin wo ek film thi jismein ja atka man apna
atka man apna ho atka man apna
jiska hero tha albela jaise hari chail ka khela
jalim dil mein aag lagaye zulfein mathe par bikhraye
lat lat kare kare kare kare matware
matware pyare pyare nyare nyare
main to jiyarwa hari hari hoy hoy hari hari
hoy hoy hari hari main hoon uski lalpari
ho ho main hoon uski lalpari aur wo mera gulfam
ke teri meri ke teri meri ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni

ek padosan piche pad gayi jungli jiska nam
pyar mohabbat kya samjhaye isko ram aur shyam
ke teri meri nahin nibhni ke teri meri nahin nibhni
nahin nahin ke teri meri nahin nibhni
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na

chali milan ko ek jugnu se jogan nadiya par
chali milan ko ek jugnu se jogan nadiya par
jogan nadiya par ho diwani ka diwane se
hua anokha pyar ho diwani ka diwane se
hoy hua anokha pyar ho anokha pyar
babul mera de aya hai shadi ka paigham
arre usse pahle le bhagega tujhko gopi ram
udan khatole pe udte jayen gate ek tarana
hoy main jab chedoon saz apna tu awaz milana
ho bol kahan ka aisa hai tu kohinoor ka tukda
arre naye daur ke devdas ka dekho to ye mukhda
ja re ja footpath pe tujhko ho ho
arre ja re ja footpath pe tujhko kar doongi nilam
ke teri meri ke teri meri ke teri meri nahin nibhni
nahi nahin ke teri meri nahin nibhni

hoy ek padosan piche pad gayi jungli jiska nam
pyar mohabbat kya samjhaye isko ram aur shyam
ke teri meri nahin nibhni ke teri meri nahin nibhni
ke teri meri nahin nibhni
nahi nahin ke teri meri nahin nibhni
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na
de re na re de re na re de re na


Added by

admin

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO