LYRIC

The song Ek Din Aapko Yaad Kiye Magar is from the movie Sharafat. It is sung by Asha Bhosle and composed by Laxmikant–Pyarelal. The lyrics are written by Anand Bakshi. Saregama released the soundtrack album for the movie.

Main manaaun bhala kis tarah aap ko
Mere ruuthe hue meharbaan aap hai
Husn ki yeh kali jiske mann mein khili
Uske mann ke aji baagbaan aap hai

Ek din aapko yaad kiye magar
Aaj bhuli hui ek kahani hai yeh
Ek din aapko yaad kiye magar
Aaj bhuli hui ek kahani hai yeh
Aaj ke roj hi aap aur hum mile
Par mulakat kitni purani hai yeh
Ek din aapko yaad kiye magar
Aaj bhuli hui ek kahani hai yeh
Ek din aapko

Aap shayad mujhe na aaj pehchaane
Aap shayad mujhe na aaj pehchaane
Aapki hi likhi ek taqdeer hu
Aapka rang hai aapka ruup hai
Aapka rang hai aapka ruup hai
Aapki hi banayi main tasveer hu
Mere rukh pe koi daag hai toh aji
Di hui aap hi ki nishaani hai yeh
Mere rukh pe koi daag hai toh aji
Di hui aap hi ki nishaani hai yeh
Ek din aapko

Main toh paida hui thi sahreefon ke ghar
Main toh paida hui thi sahreefon ke ghar
Iss sharafat ko iljaam jisne diya
Nek aurat hu main band parwar mujhe
Nek aurat hu main band parwar mujhe
Yu tawaif ka yeh naam jisne diya
Woh meharbaan kahi aap hi toh nahi
Jis meharbaan ki meharbaani hai yeh
Woh meharbaan kahi aap hi toh nahi
Jis meharbaan ki meharbaani hai yeh
Ek din aapko

Beizzati ke siwa bebasi ke siwa
Beizzati ke siwa bebasi ke siwa
Aur jisko kisine sambhala nahi
Jiski baraat galiyon se gujri nahi
Jiski baraat galiyon se gujri nahi
Jisko baabul ne doli mein dala nahi
Jisko taqdeer ne laake bazaar mein
Bech dala meri woh jawani hain yeh
Jisko taqdeer ne laake bazaar mein
Bech dala meri woh jawani hain yeh
Aaj ke roj hi aap aur hum mile
Par mulakaat kitni purani hai yeh
Ek din aapko yaad kiye magar
Aaj bhuli hui ek kahani hai yeh
Ek din aapko yaad kiye magar
Aaj bhuli hui ek kahani hai yeh.


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO