LYRIC

The song Benaam Sa Yeh Dil is from the movie Dhoop. It is sung by Jagjit Singh and composed by Lalit Sen. The lyrics are written by Muqtida Hasan Nida Fazli. Universal Music released the soundtrack album for the movie.

benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata
benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyon nahi jata
benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata

sab kuch to hai kya dhundti rehti hain nigahen
kya bat hai mai waqt peh ghar kyu nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyu nahi jata

wo ek hi chahra to, nahi sare jahan mai
wo ek hi chahra to, nahi sare jahan mai
jo dur hai wo dil se, utar kyon nahi jata
jo dur hai wo dil se, utar kyon nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyu nahi jata
benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata

mai apni hi uljhi huyi raho ka tamasha
mai apni hi uljhi huyi raho ka tamasha
jate hai jidhar sab, mai udhar kyu nahi jata
jate hai jidhar sab, mai udhar kyu nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyu nahi jata
benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata

wo nam jo barso se, na chehra hai na badan hai
wo nam jo barso se, na chehra hai na badan hai
wo khwab agar hai to, bikhar kyu nahi jata
wo khwab agar hai to, bikhar kyu nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyu nahi jata

benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata
jo bit gaya hai wo, gujar kyon nahi jata
benam sa ye dard, thehar kyon nahi jata


Added by

Unnatee Awaken

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO