LYRIC
The song Ho Aaj Majhab Koi is from the movie Censor. It is sung by Roop Kumar Rathod, Vijeta Pandit, Kavita Krishnamurthy, & Vinod Rathod and composed by Jatin–Lalit. The lyrics are written by Gopaldas Saxena (Neeraj). Saregama released the soundtrack album for the movie.
Ho aaj majhab koi ek aisa naya
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Ho aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Jisme insaan insaan banke rahe aa
Jisme insaan insaan banke rahe
Aur gulshan ko gulshan banaya jaaye
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Jisme insaan insaan banke rahe
Aur gulshan ko gulshan banaya jaaye
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Aa jisase badhakar koi kitab nahi
Are jiska milta koi jawab nahi
Umr bhar chadh kar jo nahi utare
Woh nasha hai magar sharab nahi
Use pyar zamana kehta hai
Uska deewana rehta hai
Yeh aisa hai rangin nasha
Yeh jitna chadhe utna hi maza
Yeh jitna chadhe utna hi maza
Yeh jitna chadhe utna hi maza
Hontho pe gulab yahi toh hai
Aankho mein khwab yahi toh hai
Galo pe shabab yahi toh hai
Ghunghat mein hijab yahi toh hai
Hontho pe gulab aankho mein khwab
Galo pe shabab ghunghat mein hijab
Yahi to hai yahi to hai
Yahi to hai yahi to hai
Isko paya mira ne
Isko hi gaya kabira ne
O har ruh ki aawaz hai yeh
Sabse sundar sajh hai yeh
Jis se roshan padosi ka aangan rahe
Ho jis se roshan padosi ka aangan rahe
Woh diya har ghar mein jalaya jaaye
Jisme insaan insaan banke rahe
Aur gulshan ko gulshan banaya jaaye
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Aa yeh chhav bhi hai aur dhup bhi hai
Rup bhi hai aur anup bhi hai
Yeh shabnam bhi angar bhi hai
Yeh megh bhi hai malhar bhi hai
Are isme duniya ki javani hai
Yeh aag key bhitar pani hai
Yeh ruh ka ek sarovar hai
Khatare mein ek samandar hai
Khatare mein ek samandar hai
Khatare mein ek samandar hai
Isme duniya ki javani hai
Yeh aag key bhitar pani hai
Yeh ruh ka ek sarovar hai
Khatare mein ek samandar hai
Shayar ka haseen tasavur hai
Sangit ka ek svayamvar hai
Shayar ka haseen tasavur hai
Sangit ka ek svayamvar hai
Yeh sabko sab kuch deta hai
Aur badle mein badle mein badle mein
Bas dil leta hai dil leta hai
Bas dil leta hai dil leta hai
Iska jo karam aaj ho jaaye
Iska jo karam aaj ho jaaye
To yeh mehfil bhi jannat si ho jaaye
To yeh mehfil bhi jannat si ho jaaye
Iska jo karam aaj ho jaaye
Iska jo karam aaj ho jaaye
To yeh mehfil bhi jannat si ho jaaye
Jisme insaan insaan banke rahe
Jisme insaan insaan banke rahe
Aur gulshan ko gulshan banaya jaaye
Aaj majhab koi ek aisa naya
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye
Dosto iss jahan mein chalaya jaaye