LYRIC
The song Musafir Ko is from the movie Faraaz. It is sung by Vidhya Gopal and composed by Sameer Rahat. The lyrics are written by Alok Ranjan Srivastava & Sameer Rahat. T-Series released the soundtrack album for the movie.
Saanjh Ke Suraj Ko, Door Kahaań Jaana Hai
Chaand Ko Behla Ke, Bhor Ko Aa Jaana Hai
Musafir Ko Ghar He Aana Hai, Bhatak Ke Manaa
Musafir Ko Ghar He Aana Hai
Koi Sab Shohrateiń Haath Meiń Dhar Jaaye
Tera Bol-baala Ho, Tu He Tu Nazar Aaye
Koi Saari Daulateiń Tere Naam Kar Jaaye
Bharega Kahiń Na Mann, Chaahe Tu Jidhar Jaaye
Tere Aage Peeche Jo, Aaj Ye Zamaana Hai
Ek Afsaana Hai, Ye Toh Sab Bahaana Hai
Musafir Ko Ghar He Aana Hai, Bhatak Ke Manaa
Musafir Ko Ghar He Aana Hai
Zindagi Ye Jaadu Hai, Ya Koi Chalaawa Hai,
Khaali Khaali Rasmoń Ka, Khokla Sa Daawa Hai,
Kaarvań Chootenge, Raaheiń Tham Jayengi,
Ruuh Ye Haqeeqat Hai, Jism Dikhaawa Hai,
Teri Jo Zameene Haiń, Tera Jo Khazaana Hai
Ye Jo Kaarkhaana Hai, Yahiń Chhoot Jaana Hai
Musafir Ko Ghar He Aana Hai, Bhatak Ke Manaa
Musafir Ko Ghar He Aana Hai
Kisiko Manaana Hai, Kabhi Rooth Jaana Hai
Koi Zidd Karni Hai, Aur Thak Jaana Hai
Saanjh Ke Suraj Ko, Door Kahaań Jaana Hai
Chaand Ko Behla Ke, Bhor Ko Aa Jaana Hai
Musafir Ko Ghar He Aana Hai, Bhatak Ke Manaa,
Manzar Ye Badal He Jaana Hai,
Musafir Ko Ghar He Aana Hai, Bhatak Ke Manaa,
Musafir Ko Ghar He Aana Hai