LYRIC
Koi ye bata de
Main hoon kahan
Koi toh bata de
Mera pata
Sahi hai ke nahin
Meri ye dagar
Loon ke nahi main
Apna ye safar
Darr lagta hai sapno se
Kar de na ye tabah
Darr lagta hai apno se
De de na ye daga
Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon leher
Main hoon sukoon ya hoon qaher
Koi ye bata de
Hoon kaun hoon
Kyun hoon main kya hoon
Main kaun hoon
Yakeen hai ke nahi
Khud pe mujhko kya
Hoon ke nahi ke main
Hair farak padhta kya
Kiske kandhon pe roun
Ho jaye jo khata
Kisko raahon mein dhoondun
Kho jaye jo pata
Main chand hoon ya daag hoon
Main raakh hoon ya aag hoon
Main boond hoon ya hoon leher
Main hoon sukoon ya hoon qaher
Hey.. Hey..
Main kaun hoon