LYRIC

The song ‘Jara samne to aao chaliye’ sung by Pandit Bharat Vyas. There is some interesting belief behind this song that the son of Late Pandit Bharat Vyas left the home without any knowledge and was disappeared. After a few time weeping in his memory, Pandit Ji wrote this song and every real human with emotions can feel a pain of father weeping for his lad.

zaraa saamane to aao chhaliye
chhup chhup chhalane me.n kyA rAz hai
yU.N chhup nA sakegA paramAtmA
merI AtmA kI ye AvAz hai
zarA sAmane …

ham tumhe.n chAhe tum nahI.n chAho
aisA kabhI nahI.n ho sakatA
pitA apane bAlak se bichhu.D se
sukh se kabhI nahI.n so sakatA
hame.n Darane kI jag me.n kyA bAt hai
jab hAth me.n tihAre merI lAj hai
yU.N chhup nA sakegA paramAtmA
merI AtmA kI ye AvAz hai
zarA sAmane …

prem kI hai ye Ag sajan jo
idhar uThe aur udhar lage
pyAr kA hai ye qarAr jiyA ab
idhar saje aur udhar saje
terI prIt pe ba.DA hame.n nAz hai
mere sar kA tU hI saratAj hai
yU.N chhup nA sakegA paramAtmA
merI AtmA kI ye AvAz hai
zarA sAmane …


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO