LYRIC

The song Yeh Aaina is from the movie Kabir Singh. It is sung by Shreya Ghoshal and composed by Amaal Mallik. The lyrics are written by Irshad Kamil. T-Series released the soundtrack album for the movie.

Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roj Mujhko Sanwaare
Itna Lagi Sochne Kyun
Main AajKal Tere Baare

Tu Jheel Khamoshiyon Ki
Lafzon Ki Main Toh Laher Hoon
Ehsaas Ki Tu Hai Duniyaa
Chhota Sa Main Ek Saher Hoon

Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roj Mujhko Sanwaare

Khud Se Hai Agar Tu Bekhabar Bekhabar
Rakh Loon Main Tera Khyaal Kya
Chupke Chupke Tu Nazar Mein Utar
Sapno Mein Loon Main Sambhal Kya
Sapno Mein Loon Main Sambhal Kya
Main Daud Ke Pass Aaun
Tu Neend Mein Jo Pukaare
Main Ret Hoon
Tu Hai Dariya
Baithi Hoon Tere Kinaare

Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roj Mujhko Sanwaare

Tanha Hai Agar Tera Safar Humsafar
Tanhaai Ka Main Jawaab Hoon
Hoga Mera Bhi Asar Tu Agar
Padh Le Main Teri Kitaab Hoon
Padh Le Main Teri Kitaab Hoon

Seene Pe Mujhko Saja Ke
Jo Raat Saari Guzarein
To Main Savere Se Keh Doon
Mere Sehar Tu Na Aa Re

Ye Aaina Hai Ya Tu Hai
Jo Roj Mujhko Sanwaare


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO