LYRIC

Ulta Seedha Lyrics from the movie, Ulta Seedha. This song is sung by Kishore Kumar. Music composition by Rajesh Roshan with lyrics inscribed by Majrooh Sultanpuri. The soundtrack album is released under Rajshri label.

ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
jab teri duniya ka har kaam hain ulta
kya meri khata jo mujhse hua koi kam ulta sidha
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

bachcha tadpe zakhmi roye mamta
insaan hu aakhir main kaise na sunta
bachcha tadpe zakhmi roye mamta
insaan hu aakhir main kaise na sunta
rote ko hasaaya bigdi to bana aaya
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

murat pe to ganga jal jag feke
majbur ko jalta ghar koi na dekhe
murat pe to ganga jal jag feke
majbur ko jalta ghar koi na dekhe
vo ghar ko bachana tha fir malik tu hi bata
kya meri khata jo mujhse hua koi kam ulta sidha
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa

ek din to hua aisa sun data
main chor na tha fir bhi pakda jata
ek din to hua aisa sun daata
main chor na tha fir bhi pakda jata
to pet bujurgo ka bharta na to kya karta
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hai mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
teri duniya hain mujhse khafa
teri duniya hain mujhse khafa

bate meri jhuthi sahi pyar to mera sachcha hain
hisse ke dil jate hain mil
jhuth vo sach se achha hain
tumko yahi pane ka rasta tha janevafa
kya meri khata jo mujhse hua koi kaam ulta sidha
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa
ae khuda ae khuda aisa main kya kiya
teri duniya hain mujhse khafa


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO