LYRIC

The song Tujhe Suraj Kahun Ya Chanda is from the movie Ek Phool Do Mali. It is sung by Manna Dey and composed by Ravi. The lyrics are written by Prem Dhawan. Saregama released the soundtrack album for the movie.

tujhe suraj kahu ya chanda, tujhe dip kahu ya tara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara

mai kab se taras raha tha, mere angan me koyi khele
nanhi si hansi ke badle, meri sari duniya le le
tere sang jhul raha hai, meri baho me jag sara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara
tujhe suraj kahu ya chanda, tujhe dip kahu ya tara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara

aaj ungli thamke teri, tujhe mai chalna sikh lau
kal hath pakadna mera, jab mai buddha ho jau
tu mila toh maine paya, jina ka naya sahara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara
tujhe suraj kahu ya chanda, tujhe dip kahu ya tara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara

mere bad bhi is duniya me, jinda mera nam rahega
jo bhi tujhko dekhega, tujhe mera lal kahega
tere rup me mil jayega, mujhko jivan do bara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara
tujhe suraj kahu ya chanda, tujhe dip kahu ya tara
mera nam karega roshan, jag me mera raj dulara

Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO