LYRIC
Taare Zameen Par Lyrics from the movie, Taare Zameen Par. This song is sung by Shankar Mahadevan, & Dominique Cerejo. Music composition by Shankar–Ehsaan–Loy with lyrics inscribed by Prasoon Joshi. The soundtrack album is released under T-Series label.
dekho inhein ye hain os ki bundein
patto ki god mein aasaman se kude
angdaayi le ke phir karwat badal kar
nazuk se moti hasde phishal kar
kho na jaaye ye tare zamin par
ye to sardi mein dhoop ki kirane
uthre to aangan ko sunhara sa karne
mann ke andhero ko roshan sa karde
thiturti hatheli ki rangat badal de
kho na jaaye ye taare zamin par
jaise aankhon ki dibiyan mein nidiyaan
aur nidiyan mein mitha sa sapna
aur sapne mein mil jaaye farista sa koi
jaise rango bhari pichkari
jaise titliyan phulo ki pyaari
jaise bina matlab ka pyara rista ho koi
ye to aasha ki leher hai
ye to umid ki seher hai khushiyon ki nehar hai
kho na jaaye ye taare zamin par
dekho raaton ko sine pe ye to
jhil mil kisi lau se uge hain
ye to ambiyaan ke khushbo mein baago se beh chale
jaise kaanch mein chudi ke tukde
jaise khile khile phoolon ke mukhade
jaise bansi koi bajaaye pedo ke tale
ye to jhonke hai pawan ke
hai ye ghungroo jivan ke ye to sur hai chaman ke
kho na jaaye ye taare zamin par
mohale ki rounak galiyaan hai jaise
khilane ki zid per kaliyaan hai jaise
muthi mein mausam ki jaise hawaayein
ye hai buzurgo ke dil ki duwaayein
kho na jaaye ye taare zaamin per
kabhi baatein jaise dadi naani
kabhi chhlake jaise mammam pani
kabhi ban jaaye bhole sawaalo ki jhadi
sannate mein hasi ke jaise
sune hoton pe khushi ke jaise
ye to noor hai barase gar teri kismat ho badi
jaise jharne mein leharaaye chidiyaan
jaise bhid mein jaise mann ko
kho na jaaye kho na jaaye