LYRIC

Meri Ek Ada Shola Lyrics from the movie, Kidnap. This song is sung by Sukhwinder Singh, & Sunidhi Chauhan. Music composition by Pritam with lyrics inscribed by Mayur Puri. The soundtrack album is released under Sony BMG label.

loot le dil beech mehfil, hum toh aise hai beiman
meri ek adda shola, meri ek adda shabnam
meri ankhon mein hai hardam harpal hai ik tufan
abhi dur se hai dekha, kabhi pass mere toh aa
phir dekh mera jalwa, koyi mujhsa hai kahan

yaron ki mehfil mein yar aaye hain
dil ko churane dildar aaye hain
mauka hai ik pal hai palbhar ka saman
iss pal mein ban jaaye koyi dastan
loot le dil beech mehfil, hum toh aise hai beiman
meri ek adda shola, meri ek adda shabnam
meri ankhon mein hai hardam harpal hai ik tufan

ishq bin jeena hai kya, ishq bin marna hai kya
ishq hi toh haqiqat hai, ishq bin marna hai kya
ishq bin jeena hai kya, ishq bin marna hai kya
ishq hi toh haqiqat hai, ishq bin marna hai kya
ishq sab hai, ishq rab hai, ishq hai mera khuda
meri ek adda shola, meri ek adda shabnam
meri ankhon mein hai hardam, harpal hai ik tufan

hadasa aisa ek ho gaya hai yahan
jo hai anjan honge woh yun hairan
ankh se jaise kajal churale koyi
aur badale mein bas ek dua de koyi, han dua de koyi
khush raho khush raho, khush raho khush raho
rab karam yeh kare, rab karam yeh kare
jo ho apne tumhare na woh ghum kare
na paraya koyi aankh ko num kare
ho sake toh jara tum bhi kar lo dua
tum bhi kar lo dua ho sake toh jara
woh mile jiske hathon mein meri jaan hai

humne ki dua, lo yeh ki dua, humne ki dua hai
hath yun utha sar bhai hai jhuka, humne ki yun dua hai

mohabbat sabne ki hogi, ishq bin jeena hai kya
moahabbat apani alag hai, ishq bin marna hai kya
main kya kya kar jayunga, yeh toh bas ek jhalak hai
ishq bin marna hai kya

loot le dil bich mehfil, bachake jaayega tu kahan
tufan utha dunga, main jaan laga dunga
tu hai ke meri pehchan mita dunga
abhi door se hai dekha, kabhi pass mere tu aa
phir dekh mera jalwa, koyi mujhsa hai kahan


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO