LYRIC
The song Meer-e-Kaarwan is from the movie Lucknow Central. It is sung by Amit Mishra, & Neeti Mohan and composed by Rochak Kohli. The lyrics are written by Adheesh Verma. T-Series released the soundtrack album for the movie.
O Bandeya O Bandeya!
O Bandeya O Bandeya!
O Bandeya O Bandeya
Teri Manzilein Hui Gumshuda
Phir Bhi Raasta Hai Tera Mehermaan
O Meer-E-Kaarwan
Teri Raahon Pe Rawaan Ki Mere Naseebon Mein Ho Koi To Duaa
Ho.. Bas Kar Dil Ab Bas Kar Bhi
Ho.. Bas Kar Dil Ab Bas Kar Bhi
Uss Raah Jaana Hi Nahi
Pal Do Pal Ka Saath Safar
Phir Hogi Judaa Rehguzar
Nadiya Thaam Ke Jo Behte Rahe
Milte Hain Woh Kinare Kahaan
O Meer-E-Kaarwan Teri Raahon Pe Rawaan
Ki Mere Naseebon Mein Ho Koi To Duaa
O Meer-E-Kaarwan Le Chal Mujhe Wahaan
Ye Raat Bane Jahaan Subah Meer-E-Kaarwan
O Meer-E-Kaarwan
O
Bahaar Kyun Tere Darr Na Aati
Hai Kya Bharam Jo Nazar Dikhati
Ab Aur Kitni Ye Raat Baaki
Hai Raat Baaki, Ye Raat Baaki
Nighal Na Jaayein Mujhe Ye Saaye
Gale Mein Ghut’ti Hain Sard Aahein
Bata O Bande Kyun Maat Khaye
Kyun Maat Khaye..
Laage Na Dil Ab
Laage Nahi Mere
Pairon Tale Nikli Jo Zameen
Iss Basti Mein Tha Mera Ghar
Usey Kis Ki Lagi Phir Nazar
Woh Jo Sapno Ka Tha Kaafila
Aisa Jhulsa Ki Ab Hai Duaan
O Meer-E-Kaarwan Teri Raahon Pe Rawaan
Ki Mere Naseebon Mein Ho Koi To Duaa
O Meer-E-Kaarwan Le Chal Mujhe Wahaan
Ye Raat Bane Jahaan Subah Meer-E-Kaarwan
O Meer-E-Kaarwan
Chal Akela Raahi Chal Chal Akela Raahi
Haafiz Tera Ilaahi Haafiz Tera Ilaahi