LYRIC

The song Kyon Khanke Teri Choodi is from the movie Tumko Na Bhool Paayenge. It is sung by Alka Yagnik, & Kamaal Khan and composed by Sajid–Wajid. The lyrics are written by Sudhakar Sharma. T-Series released the soundtrack album for the movie.

kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya
kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya
kyun chhanke teri payal, kyun khanke tera kangana
meri chudi, meri bindiya, meri payal kangana
arre apne hosh gawa baithe hai, jab se mile ho tum sajna
ho kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya

ho, jawaani me aisa hota hai gori
khanakta hai kangana, bajti hai chudi
mohabbat na samjhe, kaisa hai anari
mohabbat nahi to kaisi jawani
rab ne banaayi hai jodi hamari
meri chudi, arre meri bindiya
meri chudi, meri bindiya, meri payal kangana
apne hosh gawa baithe hai, jab se mile ho tum sajna
kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya

ho, main na mila to kaise jiyogi, apni mohabbat kisko kahogi
kal jo bhi hoga kisko khabar hai, zara soch tanha kaise rahogi
kaise rahogi
main to mar jaungi, kuch kar jaungi
main to mar jaungi, kuch kar jaungi
tune saath jo mera chhod a, tune saath jo mera chhod a
ho mera sab kuch tere sadke
haan mera sab kuch tere sadke, sun le dilbar jaani
arre apni jaan gawa dunga, main tujhpe o diwani, haan
kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya
kyun chhanke teri paayal, kyun khanke tera kangana
arre meri chudi, meri bindiya
meri chudi, meri bindiya, meri payal kangana
apne hosh gawa baithe hai, jab se mile ho tum sajna
kyun khanke teri chudi, kyun chamke teri bindiya


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO