LYRIC

Khuda Na Khasta Lyrics from the movie, One by Two. This song is sung by Arijit Singh. Music composition by Shankar–Ehsaan–Loy with lyrics inscribed by Amitabh Bhattacharya. The soundtrack album is released under Zee Music Company label.

 

Tukdon ki yeh tasveer hai
Tukdon mein bhi
Lekin haseen tehreer hai
Kehne ko yun keh leejiye
Tewar bhari se badnuma
Yeh zanjeer hai

Yeh zindagi jua hai
Kisko yakeen hua hai
Baaziyan na munasib
Kahin badh jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara
Mod koi mud jaaye na

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta

Ik haath mein sau haath hai
Aur doosre mein ranjishein
Hain jazbaat hain
Na jaane kyun iske liye
Kohraam mein kuchh
Itminaan si baat hai

Yeh zindagi dhuaan hai
Kisne ise chhua hai
Titliyon ki tarah shokh
Hai udd jaaye na
Ek tarfa safar ke
Lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara
Mod koi mud jaaye na

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta

O jeene ko jo aashiyana
Biyabaan hai
O palta ussi aashiyaane
Mein toofan hai
Saaiyaan saaiyaan

Itni silvatein maazi mein padi
Jeene ki wajah unse thi badi
O zaaya baat kyun
Shikwon mein karein
Adhoori hasratein
Dar pe hain khadi

O yeh zindagi nasha hai
Takleef mein maza hai
Iski fitrat mein hi jung
Hai chhid jaaye na
Ik tarfa safar ke
Lab pe yehi dua hai
Kahin na ganwara
Mod koi mud jaaye na

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta

Khuda na khasta
Khuda na khasta
Kudaya khair kare
Khuda na khasta.


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO