LYRIC

Jitna Kabhi Kisi Ne Kisi Ko Lyrics from the movie, Jaanoo. This song is sung by Manhar Udhas, & Anuradha Paudwal. Music composition by Laxmikant-Pyarelal with lyrics inscribed by Jainendra Jain. The soundtrack album is released under Gaane Sune Ansune label.

gori teri doli le aaya humjoli
vo dekho kamaal karega
sukh dega ke dukh dega
ya haal behaal karega

ke jitna
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
kiya na hoga, kiya na hoga
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ho main utna pyar karunga apni rani ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ha main utna pyar karungi apne raja ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ho main utna pyar karunga apni rani ko

suna hai koi majnu tha bahut laila ka diwana
suna hai koi majnu tha bahut laila ka diwana
ye kahte hai koi farhaad tha shri ka mastana
yun to ek ranjha bhi tha romeo tha aur kuch bhi the
magar un sab se badhke hai kasam se tera diwna
accha, ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ha main utna amar karungi teri kahani ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ha main utna pyar karungi apne raja ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga

pyar ka raajmahal ho ghar, main hun raani tu raja ho
pyar ka raajmahal ho ghar, main hun raani tu raja ho
agar kuch ho to tera dar na ho mera janaja ho
ke sar sajde se uthta hai ke fir jhukta dobara hai
tera ghar mandir, masjid, girja, gurudwara hai
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
diwana utna bana rakha hai is diwane ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
main utna pyar karunga apni rani ko
ho main utna pyar karungi apne raja ko
ke jitna kabhi kisi ne kisi ko
kiya na hoga
ha main utna pyar karungi apne raja ko
ha main utna pyar karunga apni rani ko
ha main utna pyar karungi apne raja ko
ha main utna pyar karunga apni rani ko


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO