LYRIC

Jhute Ilzaam Lyrics from the movie, Umrao Jaan. This song is sung by Alka Yagnik. Music composition by Anu Malik with lyrics inscribed by Javed Akhtar. The soundtrack album is released under T-Series label.

kaun kisko yaha bhala samajha
humne kya samajha tumne kya samajha
bewafa humne tumko samajha sanam
tumne humko hi bewafa samajha

jhute iljaam meri jaan lagaya na karo
jhute iljaam meri jaan lagaya na karo
dil hai najuk ise tum aise dukhaya na karo

jhute iljaam

meri aankho me jo achhe nahi lagte aansu

toh jalaya na karo mujhko sataya na karo
toh jalaya na karo mujhko sataya na karo
dil hai najuk ise tum aise dukhaya na karo
jhute iljaam

tum kisi aur ki kismat me ho tum mere nahi

yeh agar sach bhi hai toh mujhko bataya na karo
yeh agar sach bhi hai toh mujhko bataya na karo
dil hai najuk ise tum aise dukhaya na karo
jhute iljaam

ya toh taawir bataao mere sab khwaabo ki

ya koi khwaab in aankho ko dikhaya na karo

dil hai najuk ise tum aise dukaaya na karo
jhute iljaam

abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho
abhi aaye ho abhi baithe abhi jaate ho
sirf ek rasm nibhane ko toh aaya na karo
sirf ek rasm nibhane ko toh aaya na karo
dil hai najuk ise tum aise dukhaya na karo
jhute iljaam meri jaan lagaya na karo
dil hai najuk ise tum aise dukhaya na karo
jhute iljaam

Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO