LYRIC

I Am in Love Lyrics from the movie, Once Upon a Time in Mumbai. This song is sung by KK, & Dominique Cerejo. Music composition by Pritam with lyrics inscribed by Neelesh Misra. The soundtrack album is released under T-Series label.

Ho.. aaj kal tanha main kahan hoon
Saath chalta koyi
Uski hamein aadat hone ki
Aadat ho gayi
Woh jo mila hai jab se
Uski sohbat ho gayi
Ik zara masoom se dil ki aafat ho gayi

Sun le zara, sun le zara
Dil ne kaha itna bas mujhe pata hai
I am in love, I am in love
Tu hi bata jaane kya mujhe hua hai

Oas boondon mein tu hai
Aankhein moondun main tu hai
Dishaon das tu hai
Tu hi hai bas tu hai
Dil ka shehar tu hai
Achchi khabar tu hai
Fursat ki hansi tu hai
Jo bhi thi kami tu hai

Oas boondon mein tu hai
Aankhein moondun main tu hai
Dishaon das tu hai
Tu hi hai bas tu hai
Dil ka shehar tu hai
Achchi khabar tu hai
Fursat ki hansi tu hai
Jo bhi thi kami tu hai
Tu hai mera, tu hai mera
Kuchh main jaanoon na
Itna bas mujhe pata hai
I am in love, I am in love
Tu hi bata jaane kya mujhe hua hai

Baadal pe chalta hoon main
Girta sambhalta hoon main
Khwahishein karta hoon main
Khone se darta hoon main
Jaga na soya hoon main
Musafir khoya hoon main
Kuchh sirfira sa hoon main
Buddhu zara sa hoon main

Baadal pe chalta hoon main
Girta sambhalta hoon main
Khwahishein karta hoon main
Khone se darta hoon main
Jaga na soya hoon main
Musafir khoya hoon main
Kuchh sirfira sa hoon main
Buddhu zara sa hoon main
Dil kya kare, dil kya kare
Tere bina itna bas mujhe pata hai
I am in love, I am in love
Tu hi bata jaane kya mujhe hua hai


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO