LYRIC

Heer Tu Meri Lyrics from the movie, Happy Hardy and Heer. This song is sung by Himesh Reshammiya, & Anusha Mani. Music composition by Himesh Reshammiya with lyrics inscribed by Himesh Reshammiya. The soundtrack album is released under Tips Music label.

Yeh jo hai tere mere darmiyan
Ishq ki hai yeh gehri sardiyan
Dil mera keh saka na alvida
Kuchh alag teri meri yaariyan

Meri aankhon mein tera
Aaina chhupa sa hai
Lamha ye tera mera
Kuchh roka roka sa hai
O soniyo…

Aasmani yeh chehra
Kis kadar gehra hai
Faaslon ka samandar
Ba-khuda keh raha hai
O soniyo…
Heer tu meri ranjhana main tera
Heer tu meri ranjhana, main tera

Aaye zindagi mein ho yun
Ab na jaana tum kabhi
Kehkasha is mohabbat ka
Tera mera hai yahin

Hai tumhari adaon ka maara
Kare kiya mera dil, mere humnawa
Sama yeh kare bekarari si dil mein
Yeh dil toh mera tere bin maane na
Heer tu meri ranjhana, main tera

kafir nahi main mujhe tha yakeen
Tum sa milega koi humnashi
Yaadon ka kafila hua ajnabi
Kare bekhabar ab mujhe har ghadi

Yeh jo hai tere mere darmiyan
Ishq ki hai yeh gehri sardiyan
Dil mera keh saka na alvida
Kuchh alag teri meri yaariyan

Meri aankhon mein tera
Aaina chhupa sa hai
Lamha ye tera mera
Kuch roka roka sa hai
O soniyo…

Aasmani yeh chehra
Kis kadar gehra hai
Faaslon ka samandar
Ba-khuda keh raha hai
O soniyo…
Heer main teri raanjhanaa tu mera
Heer tu meri ranjhana, main tera


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO