LYRIC

The song Baat Meri Suniye To Zara is from the movie Kuch Naa Kaho. It is sung by Mahalakshmi Iyer, & Shankar Mahadevan and composed by Shankar–Ehsaan–Loy. The lyrics are written by Javed Akhtar. Sa Re Ga Ma released the soundtrack album for the movie.

baat meri suniye toh jara baat meri suniye toh jara
meri baat sunke baataiye ke iske bare
me hai aap ka khayal kya
itna kyon gurur aap me hai
itna aap me hai naj kisliye
bataiye hai kisne yeh sikhaya aapko
ke jo bhi tumko chahe jo bhi tum ko pyar se
mile usi se tum raho khafa khafa

baat meri suniye toh jara
aise ham nahi hai lekin
ham agar ho aise bhi toh isme kya hua
kyon na ho gurur hamko, kyon na hamko naj ho ke
ham hasin logo ki hi thokaro me hai jamana
jisko dekhiye humara hai divana
ham kisi ka bhi dil tod de, kisko aadhe raste me chhod de
toh usko bhi duniya kehti hai ada

baat meri suniye toh jara
aaj sun hi lijiye ke kya hai husn aapka, kya hai aap ki ada
aap ke har ek sitam ko hamne hi ada kaha
aur aap ki har ek ada ko haske hamne hi saha
hamne hi toh jara si baat ko bada ke dastan kar diya
hamne hi toh husn ki jamin ko aasman kar diya hai
duniya me jo aap ka yeh husn bemisal hai
toh iss me bhi hamare ishk ka hi toh kamal hai
agar hum hi na hote isko kaun puchhata
aapko agar khayal hai
ki ham husn jo mila hai aapne diya hai
yani jo bhi hai kamal aapne kiya hai
toh yeh baat saf hai ki hamko dekhte hi aapko nasha sa ho
gaya hai sara hosh kho gaya hai
warna aisi ulti sidhi behki behki baato ki wajah hai kya

nahi samaj me aayi meri baat toh nahi sahi
jo aap apne husn par gurur karte hai
toh kariye par na bhul jayega
ham ne hi toh khune dil diya
jisse rup me yeh rang aa gaya hai
aap ka yeh husn duniya bhar pe chha gaya hai
ho jadu banke ham nigaho par chha gaye
dilo me jo sama gaye hai toh hairat isame kya hai
chehra phul hot kaliya aur julfe hai andhera
aisa jo mehak raha hai

hamne hi toh aap ke inn hoto ko
gulab aur chehre ko kamal kaha hai
ham ne hi toh aap ki najar ko
jadu baaton ko ghajal kaha hai
ham ne hi julf ko kabhi kaha hai rat aur kabhi ghata
agar hami na dekhte na chahate na puchhte
toh patharo ke buth ko kaun kehta phir kudha
baat meri suniye toh jara
chodiye bhi kehne aur sunne ko hai baki kya
dekhiye mai keh rahi hu baat meri suniye toh jara
aap kya kahengi mujhko khub hai pata
are baat meri suniye toh jara
phir milenge wakt agar mila


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO