LYRIC

Aazaadiyan Lyrics from the movie, Begum Jaan. This song is sung by Sonu Nigam, & Altamash Faridi. Music composition by Anu Malik with lyrics inscribed by Kausar Munir. The soundtrack album is released under Times Music label.

Aah nikli hai yahan
Aah nikli hai wahan
Wah ri wah yeh aazaadiyan (x2)

Teri yeh ataari
Teri yeh zameenein

Teri yeh katari
Teri yeh lakeerein

Ghar mera hai kahaan
Bas yeh bata

Ho.. aah nikli hai yahaan
Aah nikli hai wahaan
Wah ri wah yeh aazaadiyan

Aazaadiyan ho.. aazaadiyan
Ho.. aazaadiyan
Aazaadiyan..

Laadla lakdi ka jhula
Saanwla mitti ka chulha
Sohni mohni maa hai kahan

Natkhati si meri galiyan
Nazron ki chhupan chhupaiyan
Gori gori baahein kahan

Hai woh chhat taare kahan
Hai woh chaubare kahan
Ho.. hai woh dariyan kinare kahaan

Hind pe tha naaz jinko
Hai woh kahan…

Aah nikli hai yahan
Aah nikli hai wahan
Wah ri wah yeh aazaadiyan

Teri yeh dastak
Teri yeh muthi

Tujhko mubarak
Teri yeh mitti
Ghar mera hai kahan itna bata

Aah nikli hai yahan
Aah nikli hai wahan
Wah ri wah yeh aazaadiyan

Aazaadiyan ho.. aazaadiyan
Ho.. aazaadiyan..
Aazaadiyan…

Reh gayi rassi pe chunri
Reh gayi khunti pe kurti
Reh gayi woh laaj kahan..

Reh gaya gummad mein Allah
Reh gaya furkat mein Rabba
Reh gaya woh Ram kahan

Hai hari se woh kahan
Hai kari se woh kahan
Pehle chaman woh bataao kahan
Hind pe tha naaz jinko hai woh kahan

Aah nikli hai yahan
Aah nikli hai wahan
Wah ri wah yeh aazaadiyan

Teri yeh hukumat
Teri yeh hidayat

Teri yeh himakat
Tujhko mubarak

Ghar mera hai kahan sirf yeh bata

Aah nikli hai yahan
Aah nikli hai wahan
Wah ri wah yeh aazaadiyan

Aazaadiyan ho.. aazaadiyan
Ho.. aazaadiyan..
Aazaadiyan… (x2)


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO