LYRIC

Aaya Na Tu Lyrics from the movie, Bharat. This song is sung by Jyoti Nooran. Music composition by Vishal-Shekhar with lyrics inscribed by Irshad Kamil. The soundtrack album is released under T-Series label.

 

Meri umeed na tooti
Na hausla mera toota
Natkhat aankhon ka
Panghat aankhon ka
Sukha hai bas tu jo rootha
Tu rootha..

Paana tha maine jo paya na paya
Main toh khulle darwaze rakkha
Rakkha main taaron pe ankhan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Khulle darwaze rakkha
Rakkha main taaron pe aankha
Aaya na, aaya na, aaya na tu (x3)

Aaa…

Main tanha bhatakta hoon
Mushkil ko hal karde
Jeena zamane mein
Tu zara sa hal karde

Akhbaron mein bhi khushi ki
Khabar na mile
Lakhon sajdon se dil ko
Sabar na mile

Mudd mudd dekhu main
Kya tha kya hoon main
Hathon se apne hi chhoota, main toota

Tere bin jaane na koi bhi, mere dil ki
Dukh na kisi ko dassa
Sachha rowaan jhootha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Dukh na kisi ko dassa
Sachha rowaan jhootha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Haathon ki lakeeren dekha
Raahein dheere dheere dekha
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Ho tumse agarche toh
Kismat badal de tu
Mere muaamle mein
Aa zara dakhal de tu

Paani pancho daryaon mein hai
Kam ho raha
Tere hone ka yakeen hai
Bharam ho raha

Chhod tadapna main
Kab tak sapna main
Dekhunga bolo
Toota, main toota

Mera kyun saathi na saya na tere hote
Haathon ko uthai jawaan
Rowaan ya main gayi jaawan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Haathon ki lakeeren dekha
Raahein dheere dheere dekha
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Dukh na kisi ko dassa
Sachha rowaan jhootha hassan
Aaya na, aaya na, aaya na tu

Aaya na tu… (x3)


Added by

hindilyrics

SHARE

ADVERTISEMENT

VIDEO